10+ Famous Quotes & Thoughts about Holy Prophet Muhammad (S.A.W.)
Here is on this page 10+ quotes and thoughts about Holy Prophet PBUH Muhammad (SAW) by famous authors and persons in the world.
Thomas Carlyle
Lafz "Muhammad" fitrat ki awaz ka naam ha
baqi jo kuch bhi ha wo sb hawa ha dhuwa ha
Hercules
Agar Me Hazrat Muhammad (SAW) k zamany me mojod hota to me in k qadmo me beth k in k paao'n dhota.
George Bernard Shaw
Mene Muhammad SAW k mazhab ki heran kun istaqamat ki bina pr hamesha tazeem ki ha. Me samjhta hn k ye wo wahid mazhab ha jis me gehrai ha or yehi cheez logon k liye dilkash sabit hui, me Muhammad SAW k mazhab k bary me beshan goi karna chahta hn k aaj jisay Europe kehty hen wahan ye mana janey lagy ga.
Adolf Hitler
Sirf aik he mazhab ha jis ki me izzat karta hn or vo ha ISLAM. sirf aik he Nabi (SAW) ha jis ki shaan ka me qaail hn or wo Muhammad SAW hen.
Richard Bell
Europe shadeed izmehlal ki dehleez pr ha. Shandar mathy k peechay shadeed zehni dabao, dewangi, rohani amraz, jinsi be-rahrawi, zana biljabar or barhty hue jinsi imraz poshida hen. Bahmi pyar or aik dosry pe aitbar hawa hochukey hen. Europe k samny aik he intekhab ha. Nijat ka wahid Rasta Muhammad SAW ka deen ha, dosra intekhab ha e nahi.
Sir Thomas Carlyle
In logon ko sharm aani chahiye jo kehty hen k ISLAM jhoot ha or Muhammad S.A.W. aik dhokey baaz thy (NAUZBILLAH) Sach to ye ha k Muhammad SAW wo shaks ha k jo apney maqasd ki takmeel k liye azam or isteqamat se lara. Mene Muhammad S.A.W. se barh k dosron pr mehrban, ghareebo k liye sakhi or muashray me qabil etbar shaks kisi ko nahi paya.
Henry Handman
Muhammad (S.A.W.) ese leader thy k jin ka nazdeek inka or aik aam admi ka status aik tha, Unho ney kabhi apni zaat ko maali mafad se nahi nawaza, yehi waja thi ki k logon ney inka tb be saath dia k jb Muhammad S.A.W. gurbat ki zindagi guzaaar rahy thy or tb b inky aitmaad ka pemana wahi tha k jab Muhammad S.A.W aik azeem saltanat k shahnsha thy.
Napoleon Bonaparte
Sab se behtreen mazhab Muhammad bin Abdullah S.A.W. ka mazhab ha.
Kaainat me agar ko shaks ye dawa krsakta ha k isne munsifana tor pe emandari se hakoomat ki ha to vo sirf Muhammad S.A.W ki zaat ha.
George N. Barnard
Mujhy yaqeen ha k agar aaj ki dunya ki qayadat krny k liye "Muhammad S.A.W. aajaen to wo tamam aalmi masail ko hl krny me kamyaab hojaen gy or hm balakhir khushali or ittefa ki fiza me zindagi basar kr rahy hongy.
Otto von Bismarck
Mujhy afsoos ha k me aap S k sathiyon me shamil nahi tha. Aye Muhammad S.A.W insaniyat ne aik he baar chuni hui shaksiat ko dekha tha, phir kabhi nahi dekhy gi, me intehai khushu se aap (S.A.W) k aagy jhukta hn.
Ab Poori dunya me sirf Muhammad S.A.W k qanoon ki hukmarani hogi.
Post a Comment